"shayar do qism ke hote haiN, ek woh jo paRh likh kar qaabiliyat ke zor se shayar bante haiN, doosre woh haiN jo maaN ke peT se shayar ho kar aate haiN; woh kuchh na bhi paRhte tau bhi shayar hi hote, pehle log ba_takalluf shayar bante haiN aur doosre fitri shayar hote haiN...hamaare dost Iqbal Sohail SaHeb doosri qism ke sho'ra meiN haiN ya'ni fitri-o-taba'aii shayar haiN aur Allah ta'ala jab koii baat chaahta hai tau us ke asbaab bhi muhayya farmaa deta hai, chunaaNche unke liye is ke asbaab bhi muhayya farmaa diye, ya'ni unko apne waqt ke do tab'aii-o-fitri shayaroN ka saaya-e-tarbiyat aur faiz-e-soHbat bhi ataa farmaaya, ya'ni Moulana Shibli No'mani aur Moulana Hameeduddin Farraahi ka..."
--Moulana Syed Suleiman Nadwi
yaaraan-e-anjuman,
Hazrat-e-Iqbal Sohail ki yeh Ghazal mulaheza farmaaiye:
rang-o-buu ke is saraabistaaN mein shashdar chhoR kar
kya huwa Husn-e-Haqeeqat, mujh ko muztar chhoR kar
ji lagega Khaak yeh jaaN_baKsh manzar chhoR kar
Khuld ko jaaye balaa meri tira dar chhoR kar
dekh ai Khursheed-e-meHshar teri ruswaai na ho
mashq-e-taabish kar tu mera daaman-e-tar chhoR kar
Hashr kis ki bazm hai yaa rab ke dauRe sar ke bal
rind saaGhar chhoR kar, zuhhaad minbar chhoR kar
koii ka'aba chaahiye mujh ko pa'e-mashq-e-tawaaf
DhhoonDhne jaayeN kahaaN ab dil ka maHwar chhoR kar
dahr ka har zarrah, baaham barsar-e-paikaar hai
kaun is parde meiN hai chashm-e-fusooNgar chhor kar
haiN bahut maidaaN, tiri Hashr_aafreeni ke liye
dil ki dunyaa, ai nigaah-e-fitnaparwar, chhoR kar
reh gayi hai kya qafas meiN ab hamaari yaadgaar
chand tinke aur kuch TooTe huwe par chhoR kar
sau jafaaoN par bhi rakhhaa Husn ka paas-e-adab
kab kaha kuchh unko maine bandah_parwar chhoR kar
itni vusa'at par na niklaa jab tapish ka Hauslaa
aur ab jaayeN kahaaN seHraa-e-meHshar chhoR kar
ho chukaa zor-e-tabii'yat Hazrat-e-Iqbal ka
ab raha hi kya hai ik rooH-e-musawwar chhoR kar
ajab nairang-e-fitrat hai sarisht-e-no'a-e-insaaN bhi
yahi Khud ahrman bhi hai, yahi tasveer-e-yezdaaN bhi
usi ki justaju meiN kufr bhi sargarm, iimaaN bhi
ba_zaahir kashmakash si bhi, magar ik rabt-e-pinhaaN bhi
isi sangam ke do dhhaare haiN, hindu bhi musalmaaN bhi
galay mil mil ke roye bhi, huwe dast-o-garebaaN bhi
inheeN maujoN ki takkar ne uThhaaye kitne toofaaN bhi
yahi ab mil ke seenchangay watan ka baaGh-e-veeraaN bhi
rahengay muttaHid ba_wasf-e-taqseem-e-gulistaaN bhi
chaman ke laalah-o-gul bhi, chaman ke sarv-o-reHaaN bhi
junooN meiN chaak kar Daala, magar ab haiN pashemaaN bhi
ke Khud apne hi pairahan ka TukRa thha garebaaN bhi
abhi tau KhaanumaN barbaad parwaanoN pe aafat hai
seHer tak dekh lengay sab ma'al-e-sham'a-e-sozaaN bhi
faroGh-e-aatish-e-gul ne jalaaye aashiyaaN laakhoN
na aaya raas is gulzaar ko josh-e-bahaaraaN bhi
koi dair-o-Haram tak yeh miri fariyaad pahunchaade
woh shaiKh-o-brahman kya jo na reh saktay ho insaaN bhi
balaa se phooNk Daal ai barq mere aashiyaane ko
inheeN sho'loN se hoga seHn-e-gulshan meiN chiraaGhaaN bhi
'Sohail' is benawaai par bhi himmat ka yeh a'alam hai
a'waz Khaak-e-watan ke maiN na luN mulk-e-SuleimaaN bhi
No comments:
Post a Comment